Wednesday, December 2, 2009

Mann karta hai...

Ek baar phir Tabaah hone ka mann karta hai....
Apni hi aag me jalne ka mann karta hai...
Jo kho gaya kahin use paane ka mann karta hai....
Kya kahun main; beete huye lamhon me jeene ka mann karta hai...


Guzre waqt se guzarne ka mann karta hai...
Mohabbat ke khuda se milne ka mann karta hai...
Khwabon me khud ko talaashne ka mann karta hai....
Na jaane kyun ek baar phir jeene ka mann karta hai...

4 comments:

amrata said...

nice one....

apurva said...

KHUD LIKHA HAI YA MAARA HAI KAHIN SE

apurva said...

ACHA HAI

amit said...

Nice short Poem